Kaghaz Ke Phul

phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye

meri man to unhen be-kar chuna karti hai

chandni ho ki kaDi dhup ki garmi kuchh ho

meri KHatir tu kahan rose phira karti hai

mere malbus mohabbat ka jo paiwand bane

mujh ko us reshmi kapDe ki zarurat kya hai

jo kabhi apna kabhi ghair ka bimar bane

mujh ko us husn ki yalghaar se nisbat kya hai

apne hi zauq-e-tabassum mein giraftar-o-asir

zard chehre pe mile ghaza-e-gul-e-rang ki dhul

ghair-mumkin hai na den teri nigahon ko fareb

muskuraate hue lab aur ye hanste hue phul

kya baDhaenge kabhi zinat-e-daman-e-KHulus

KHarzaron se ulajhna jinhen aata hi na ho

jin se qaem na ho KHud apne hi jalwon ka waqar

aaina le ke sanwarna jinhen aata hi na ho

raat-bhar jalta rahe chahiye mujh ko wo charagh

phul kaghaz ke hain kuchh der mein jal jaenge

tere hathon ke tarashe hue majhul sanam

mere hathon ki hararat se pighal jaenge

kya milega mujhe us gul ke tabassum se kabhi

jis ke chehre pe ho rangin shararat ki lakir

kya milega mujhe us hat ki zebai se

jis pe chaDhte hue sharmae hina ki tahrir

aise gulshan mein kahan raat-ki-rani mahke

jis ke har goshe se katra ke guzarti ho bahaar

qafila apni umidon ka kahan par Thahre

dur tak chhaya ho jab gardish-e-dauran ka ghubar

dil mein ek waqt-e-tarab-nak ka arman liye

KHud ko yun waqf-e-gham-o-gardish-e-haalat na kar

jin ka dawa hai ki hain tere muqaddar ke KHuda

meri KHatir to kabhi un se koi baat na kar

phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye

meri man tu unhen be-kar chuna karti hai

chandni ho ki kaDi dhup ki garmi chakkho

meri KHatir tu kahan rose phira karti hai

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Ke Phul In English By Famous Poet Fareed Ishrati. Kaghaz Ke Phul is written by Fareed Ishrati. Read famous Poem Kaghaz Ke Phul for youth and Student by Fareed Ishrati. Free Download Kaghaz Ke Phul in PDF.