Abhi Makan Main Abhi Su-e-la-makan Hun Main

abhi makan main abhi su-e-la-makan hun main

tere KHayal teri dhun mein hun jahan hun main

kali kali mutabassim hai aarzuon ki

qadam qadam pe mohabbat mein kaamran hun main

nawa nawa mein meri zindagi machalti hai

rabab-e-husn-o-mohabbat pe naghma-KHwan hun main

mera tajassus-e-paiham hai zindagi-amoz

mujhe qarar nahin hai rawan-dawan hun main

jahan tamam agar mujh se sargiran hai to kya

ba-zat-e-KHud bhi to ek mustaqil jahan hun main

fana ki zad se hai mahfuz zindagi meri

shiar apna mohabbat hai jawedan hun main

ye eatibar-e-gul-o-gulsitan mujhi se hai

ye aur baat ki parwarda-e-KHizan hun main

ye kaun dekh raha hai mujhe hiqarat se

ghubar-e-rah nahin mir-e-karwan hun main

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Makan Main Abhi Su-e-la-makan Hun Main In English By Famous Poet Fareed Javed. Abhi Makan Main Abhi Su-e-la-makan Hun Main is written by Fareed Javed. Read famous Poem Abhi Makan Main Abhi Su-e-la-makan Hun Main for youth and Student by Fareed Javed. Free Download Abhi Makan Main Abhi Su-e-la-makan Hun Main in PDF.