Na But-kade Mein Na Kabe Mein Sar Jhukane Se

na but-kade mein na kabe mein sar jhukane se

sukun mila hai teri anjuman mein aane se

mere junun ko mohabbat se dekhne wale

zara nigah bachae hue zamane se

main muskura to diya un ki be-niyazi par

ye kya ki dil pe lagi choT muskurane se

bahut kiya hai haqiqat ki talKHiyon se gurez

magar bahal na saka dil kisi fasane se

KHusha ki ahd-e-qafas mein bhi zindagi ke liye

nigah khelti rahti hai aashiyane se

udas dil ko sahaara na mil saka 'jawed'

andheri shab mein sitaron ke jagmagane se

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na But-kade Mein Na Kabe Mein Sar Jhukane Se In English By Famous Poet Fareed Javed. Na But-kade Mein Na Kabe Mein Sar Jhukane Se is written by Fareed Javed. Read famous Poem Na But-kade Mein Na Kabe Mein Sar Jhukane Se for youth and Student by Fareed Javed. Free Download Na But-kade Mein Na Kabe Mein Sar Jhukane Se in PDF.