Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai

na ghurur hai KHirad ko na junun mein bankpan hai

ye mizaj-e-zindagi to baDa hausla-shikan hai

jahan mil saken na mil ke jahan fasle hon dil ke

use anjuman na samjho wo fareb-e-anjuman hai

ye hawa chali hai kaisi ki dilon ki dhaDkanon mein

na hadis-e-lala-o-gul na hikayat-e-chaman hai

nahin maslahat ki rahbar koi baat sach bata de

zara karwan se puchho jo shikast jo thakan hai

kai inqalab aae kai dip jhilmilae

jo bujhi nahin hai ab tak teri yaad ki kiran hai

main ghamon ki tirgi mein nahin is qadar bhi tanha

koi mujh se dur rah kar mere dil mein zau-fagan hai

nahin sab ke sath yaksan safar-e-hayat pyare

kahin rang-o-bu ke sae kahin dasht-e-pur-mehan hai

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai In English By Famous Poet Fareed Javed. Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai is written by Fareed Javed. Read famous Poem Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai for youth and Student by Fareed Javed. Free Download Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai in PDF.