Hama-jihat Meri Talab Jis Ki Misal Ab Nahin

hama-jihat meri talab jis ki misal ab nahin

tera KHayal hai magar apna KHayal ab nahin

shauq ka bahr-e-be-karan mahw-e-sukut-e-jawedan

is mein na koi josh ab is mein ubaal ab nahin

gham ki zamin pe aasman baqi raha na ai miyan

dil ki ye sogwariyan ru-ba-zawal ab nahin

ab na harim-e-naz se hoga tulu aaftab

qurb-e-jamal to gaya lutf-e-visal ab nahin

dur hai rah habib ki baat ye hai nasib ki

jina muhaal ho gaya marna muhaal ab nahin

raqs-kunan hai wan hawas us pe rahi na dastaras

husn-e-malih sakin-e-shahr-e-jamal ab nahin

tere karam pe ji rahi kab se hai meri kaj-rawi

koi jawab ab nahin koi sawal ab nahin

le ke nai nai ghazal aa hi gae 'farid' ab

sun ai charagh-e-anjuman tera zawal ab nahin

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hama-jihat Meri Talab Jis Ki Misal Ab Nahin In English By Famous Poet Fareed Parbati. Hama-jihat Meri Talab Jis Ki Misal Ab Nahin is written by Fareed Parbati. Read famous Poem Hama-jihat Meri Talab Jis Ki Misal Ab Nahin for youth and Student by Fareed Parbati. Free Download Hama-jihat Meri Talab Jis Ki Misal Ab Nahin in PDF.