Rag-o-pai Mein Sarayat Kar Gaya Wo

rag-o-pai mein sarayat kar gaya wo

mujhi ko mujh se ruKHsat kar gaya wo

na Thahra koi mausam wasl-e-jaan ka

mutayyan rah furqat kar gaya wo

man o tu ki giri diwar sar par

bayan kaisi haqiqat kar gaya wo

darun-e-KHana se ghafil hai lekin

barun-e-KHana zinat kar gaya wo

sar-e-shab hi mein aksar jal bujha hun

har ek KHwahish ko lat-pat kar gaya wo

hawadis ka wo tund o shoKH jhonka

samar dil ka akarat kar gaya wo

mata-e-gham chhupa kar kyun na rakkhun

hawale ye amanat kar gaya wo

tumhein bhi bhulne ki koshishen kin

ki KHud par bhi qayamat kar gaya wo

sukun-amez lamhon mein 'farid' ab

farogh-e-ranj-o-mehnat kar gaya wo

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rag-o-pai Mein Sarayat Kar Gaya Wo In English By Famous Poet Fareed Parbati. Rag-o-pai Mein Sarayat Kar Gaya Wo is written by Fareed Parbati. Read famous Poem Rag-o-pai Mein Sarayat Kar Gaya Wo for youth and Student by Fareed Parbati. Free Download Rag-o-pai Mein Sarayat Kar Gaya Wo in PDF.