Tamanna Apni Un Par Aashkara Kar Raha Hun Main

tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

jo pahle kar chuka hun ab dobara kar raha hun main

shikast-e-arzu arz-e-tamanna shauq-e-la-hasil

teri KHatir to ye sab kuchh gawara kar raha hun main

qafas mein ji bahalne ke liye wo phul rakh aae

hujum-e-yas mein jin par guzara kar raha hun main

gharaz us chiz se mujh ko nahin meri na jo hogi

ye bais hai ki duniya se kinara kar raha hun main

main khul kar kah nahin sakta niyaz-e-ishq ki baaten

faqat un ki taraf bas ek ishaara kar raha hun main

mere sar par hai baqi ek saya mere mazi ka

sambhal kar asr-e-hazir ka nazara kar raha hun main

'farid' ek din sahaare zindagi ke TuT jaenge

sabab ye hai ki KHud ko be-sahaara kar raha hun main

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamanna Apni Un Par Aashkara Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Fareed Parbati. Tamanna Apni Un Par Aashkara Kar Raha Hun Main is written by Fareed Parbati. Read famous Poem Tamanna Apni Un Par Aashkara Kar Raha Hun Main for youth and Student by Fareed Parbati. Free Download Tamanna Apni Un Par Aashkara Kar Raha Hun Main in PDF.