Kho BaiThi Hai Sare KHad-o-Khaal Apni Ye Duniya

kho baiThi hai sare KHad-o-KHal apni ye duniya

ab to hai faqat ek dhamal apni ye duniya

sadiyon ki sitam-dida gham-o-ranj se mamur

kis darja hai zaKHmon se niDhaal apni ye duniya

zor-awari-e-zulm hai is darja ki qatil

kahte hain ki hai un ka manal apni ye duniya

kab tak ye tera husn-e-taghaful hai KHuda-ya

ek laib hai bar-dast-e-majal apni ye duniya

KHun-rezi-e-adam ka ye aalam hai ki ab to

lagti hai bas ek gah-e-qital apni ye duniya

kyun KHun-e-bashar KHun-e-tamanna hai har ek samt

kyun KHun se hui jati hai lal apni ye duniya

hai KHar ki manind meri ruh mein paiwast

ye nish-e-gham-o-dard KHayal apni ye duniya

manind-e-salib is ko liye phirta hun din raat

kandhon pe uThae ye wabaal apni ye duniya

ab mujh se sambhalti nahin ye dard ki saughat

le tujh ko mubarak ho sambhaal apni ye duniya

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kho BaiThi Hai Sare KHad-o-Khaal Apni Ye Duniya In English By Famous Poet Farhan Salim. Kho BaiThi Hai Sare KHad-o-Khaal Apni Ye Duniya is written by Farhan Salim. Read famous Poem Kho BaiThi Hai Sare KHad-o-Khaal Apni Ye Duniya for youth and Student by Farhan Salim. Free Download Kho BaiThi Hai Sare KHad-o-Khaal Apni Ye Duniya in PDF.