Gar Dua Bhi Koi Chiz Hai To Dua Ke Hawale Kiya

gar dua bhi koi chiz hai to dua ke hawale kiya

ja tujhe aaj se hum ne apne KHuda ke hawale kiya

ek muddat hui hum ne duniya ki har ek zid chhoD di

ek muddat hui hum ne dil ko wafa ke hawale kiya

is tarah hum ne teri mohabbat zamane ke hathon mein di

jis tarah gul ne KHushbu ko baad-e-saba ke hawale kiya

bebasi si ajab zindagi mein ek aisi bhi aai ki jab

hum ne chup-chap hathon ko rasm-e-hina ke hawale kiya

KHun ne teri yaaden sulagti hui raat ko saunp din

aansuon ne tera dard rukhi hawa ke hawale kiya

(1889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Dua Bhi Koi Chiz Hai To Dua Ke Hawale Kiya In English By Famous Poet Farhat Abbas Shah. Gar Dua Bhi Koi Chiz Hai To Dua Ke Hawale Kiya is written by Farhat Abbas Shah. Read famous Poem Gar Dua Bhi Koi Chiz Hai To Dua Ke Hawale Kiya for youth and Student by Farhat Abbas Shah. Free Download Gar Dua Bhi Koi Chiz Hai To Dua Ke Hawale Kiya in PDF.