Aaya Zara Si Der Raha Ghul Gaya Badan

aaya zara si der raha ghul gaya badan

apni uDai KHak mein hi rul gaya badan

KHwahish thi aabshaar-e-mohabbat mein ghusl ki

halki si ek phuwar mein hi ghul gaya badan

zer-e-kaman dil tha to thoDi si thi umid

ab to hamare hath se bilkul gaya badan

ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin

lagta hai raste mein kahin khul gaya badan

main ne bhi ek din use taraj kar diya

mujh ko halak karne pe jab tul gaya badan

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaya Zara Si Der Raha Ghul Gaya Badan In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Aaya Zara Si Der Raha Ghul Gaya Badan is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Aaya Zara Si Der Raha Ghul Gaya Badan for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Aaya Zara Si Der Raha Ghul Gaya Badan in PDF.