Bahut Si Aanhken Lagin Hain Aur Ek KHwab Tayyar Ho Raha Hai

bahut si aankhen lagin hain aur ek KHwab tayyar ho raha hai

haqiqaton se muqable ka nisab tayyar ho raha hai

tamam duniya ke zaKHm apne bayan qalam-band kar rahe hain

meri sawaneh-hayat ka ek bab tayyar ho raha hai

bahut se chand aur bahut se phul ek tajrabe mein lage hain kab se

suna hai tum ne kahin tumhaara jawab tayyar ho raha hai

chaman ke phulon mein KHun dene ki ek tahrik chal rahi hai

aur is lahu se KHizan ki KHatir KHizab tayyar ho raha hai

purani basti ki khiDkiyon se main dekhta hun to sochta hun

naya jo wo shahr hai bahut hi KHarab tayyar ho raha hai

khule hue hain fana ke daftar mein sab anasir ke goshware

ki aasmanon mein ab zamin ka hisab tayyar ho raha hai

main jab kabhi us se puchhta hun ki yar marham kahan hai mera

to waqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai

badan ko jaana hai pahli bar aaj ruh ki mahfil-e-tarab mein

to aisa lagta hai jaise koi nawab tayyar ho raha hai

is imtihan ke sawal aate nahin nisabon se maktabon ke

ajib aashiq hai ye jo paDh kar kitab tayyar ho raha hai

junun ne barpa kiya hai sahra mein shahr ki taziyat ka jalsa

to 'farhat-ehsas' bhi ba-chashm-e-pur-ab tayyar ho raha hai

(1210) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Si Aanhken Lagin Hain Aur Ek KHwab Tayyar Ho Raha Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Bahut Si Aanhken Lagin Hain Aur Ek KHwab Tayyar Ho Raha Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Bahut Si Aanhken Lagin Hain Aur Ek KHwab Tayyar Ho Raha Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Bahut Si Aanhken Lagin Hain Aur Ek KHwab Tayyar Ho Raha Hai in PDF.