Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte

dekhte hi dekhte khone se pahle dekhte

raushni ko raushni hone se pahle dekhte

is tarah zaea hui hotin na aankhen nind mein

hum ye sare KHwab agar sone se pahle dekhte

shahr ka aaina-KHana hai sar-e-sailab-e-aks

apna chehra bhiD mein khone se pahle dekhte

baad ka sara safar qabu mein rahta aap ke

KHak ko gar be-karan hone se pahle dekhte

ab to jo kuchh hai sahafat hi sahafat hai yahan

jo bhi hona tha use hone se pahle dekhte

bij kis surat mein bahar aaega kis ko KHabar

fasl kya hogi use bone se pahle dekhte

dekhte baadal se barish tak safar taklif ka

tum meri aankhen agar rone se pahle dekhte

dekhne mein der kar di aap ne 'ehsas' ko

ho chuka bas wo use hone se pahle dekhte

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte in PDF.