Din Ne Itna Jo Marizana Bana Rakkha Hai

din ne itna jo marizana bana rakkha hai

raat ko hum ne shifa-KHana bana rakkha hai

intiqam aisa liya hai meri tanhai ne

shahr ka shahr bayabana bana rakkha hai

KHak ka KHana gharibana-badan hai ki jise

raunaq-e-ishq ne shahana bana rakkha hai

hum ko malum hai KHub apni haqiqat so use

usi unwan ka afsana bana rakkha hai

mubtazil hone ka aap apna maza hai warna

hum ne bhi KHud ko hakimana bana rakkha hai

aadmi ho ki KHuda sab ka barabar hai wazn

ishq ne ek hi paimana bana rakkha hai

chaak kar kar ke hue tang to diwanon ne

chaak ko ab ke garibana bana rakkha hai

'farhatullah' hai wo aql ka putla jis ne

farhat-ehsas ko diwana bana rakkha hai

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ne Itna Jo Marizana Bana Rakkha Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Din Ne Itna Jo Marizana Bana Rakkha Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Din Ne Itna Jo Marizana Bana Rakkha Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Din Ne Itna Jo Marizana Bana Rakkha Hai in PDF.