Har Ek Jaanib Un Aankhon Ka Ishaara Ja Raha Hai

har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai

hamein kin imtihanon se guzara ja raha hai

kinare ko bachaun to nadi jati hai mujh se

nadi ko thamta hun to kinara ja raha hai

main Duba ja raha hun un sadaon ke bhanwar mein

mujhe ab chaaron jaanib se pukara ja raha hai

taaqub mat karo us ke badan ki raushni ka

ki ye to sirf us ka istiara ja raha hai

ye sara khel fath-e-shah ka hai jis ki KHatir

pyaadon jaise insanon ko haara ja raha hai

ab us ruKHsar ka til hai alamat us bhanwar ki

jahan sara samarqand-o-buKHara ja raha hai

mere ashaar hain wo aasmani KHwab jin ko

meri miTTi ke honThon par utara ja raha hai

wahin chashm-o-lab-o-ruKHsar bhi jate hain us ke

jahan ye husn ka sara idara ja raha hai

main sahil ho gaya hun jab se wo dariya hua hai

nazar Thahri hui hai aur nazara ja raha hai

to kya ye wasl ki shab hai ki jab ghar se bichhaD ke

na jaane kis ke ghar mera sitara ja raha hai

alam-bardar tanhai tha apna 'farhat-ehsas'

hujum-e-shahr ke hathon jo mara ja raha hai

(1633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Jaanib Un Aankhon Ka Ishaara Ja Raha Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Har Ek Jaanib Un Aankhon Ka Ishaara Ja Raha Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Har Ek Jaanib Un Aankhon Ka Ishaara Ja Raha Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Har Ek Jaanib Un Aankhon Ka Ishaara Ja Raha Hai in PDF.