Is Tarah Aata Hun Bazaron Ke Beach

is tarah aata hun bazaron ke beach

jaise nind aa jae bedaron ke beach

main musalsal multawi hota hua

har ghaDi har gam tayyaron ke beach

laDkhaDane lagti hain sansen meri

har-nafas har haal hamwaron ke beach

yaad sahra ki hujum-e-shahr mein

zindagi ka KHwab bimaron ke beach

KHud-ba-KHud band-e-qaba khulte hue

hairat-e-iqrar inkaron ke beach

hum KHud afsane ke bahar ho gae

mar hi jate aise kirdaron ke beach

hum alam-bardar apne jehl ke

maktabon ke ilm-bardaron ke beach

'farhat-ehsas' aa gaya kya bazm mein

sadgi aai hai hoshyaron ke beach

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tarah Aata Hun Bazaron Ke Beach In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Is Tarah Aata Hun Bazaron Ke Beach is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Is Tarah Aata Hun Bazaron Ke Beach for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Is Tarah Aata Hun Bazaron Ke Beach in PDF.