Purana ZaKHm Jise Tajraba Ziyaada Hai
purana zaKHm jise tajraba ziyaada hai
ziyaada dikhta nahin sochta ziyaada hai
zara ziyaada mohabbat bhi chahiye hum ko
hamara dil bhi to TuTa hua ziyaada hai
tera visal zarurat hai jism-o-jaan ki to ho
tera KHayal mere kaam ka ziyaada hai
jo masjidon ki taraf is qadar bulate hain
to kya ye hai ki kahin kuchh KHuda ziyaada hai
main bar bar jo us ki talab mein jata hun
KHayal-e-KHam mein shayad maza ziyaada hai
amir-e-shahr se ab kaun baz-purs kare
ki us ke pas bahut si qaba ziyaada hai
ye aaina mera aaina-e-mohabbat hai
par us mein aks kisi aur ka ziyaada hai
badan ke bagh mein sab raunaqen hain dil ke qarib
isi nawah mein baad-e-saba ziyaada hai
hujum-e-shiddat-e-'ehsas' baDh par hai aaj
karam bhi aaj ghazal ka zara ziyaada hai
(946) Peoples Rate This