Lahar Ka Thahrao

main ek lahar ka Thahrao

jame hue KHun ka dauran

kaTe hue hathon ki panja-azmai mera jihad

nau-jawan buDhon ki na-KHud-nawisht

meri asriyat

tariKH mere ghar ka bujha hua chulha

roTiyon se ziyaada bhuk pakata hai

mera shahr us aurat ka hamal

jo istiqrar se ziyaada isqat Dhaalta hai

barson pahle

natshe ne kaha tha KHuda mar gaya

aur aaj

jama masjid ke pichhe wali basti mein

bosida makanon aur tarik galiyon mein

ek buDha bhi

yahi chiKHta hai

jama masjid ke chaar minaron se

rone ki aawazen

nashr ho rahi hain

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahar Ka Thahrao In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Lahar Ka Thahrao is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Lahar Ka Thahrao for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Lahar Ka Thahrao in PDF.