Na-rasai
hazaron patton par tum ko KHat likhe
ek ek jaan pahchan wale se
puchhta phira hun
jitne munh the utni baaten
jaane kaun ho?
tum ko jaanta nahin, pahchanta bahut hun
pata nahin kaun se KHwab mein
kis tarik lamhe mein
bechain be-nind raat ki kaun si karwaT mein
achanak raushni sa tum ko dekha tha
tab se tum se mohabbat ho gai hai
tumhaara pur-sukun bhar pur chehra
us par meri puri pakaD hai
tum ko pane ke pagal-pan mein
sari duniya ki tariKH jughrafiya
falsafe, samaji ulum
adab, shairi sare funun-e-latifa
sab kuchh jaan liya
tamam zamanon ki insani shaklen
tum se milata hun
taqdir ko likhe hue
aadmi ke sare mohabbat-name paDhta hun
shayad kahin tumhaara zikr ho
abhi abhi tum ko
kasi hui bhiD ke aaKHiri sire par
dekha hai achanak
rele par rela, dhakke par dhakka
kahin bhi koi shigaf nahin
insani jismon ki unchi diwar
tum tak kabhi bhi
pahunchne na degi
(876) Peoples Rate This