Wasl Ke Lamhe Kahani Ho Gae

wasl ke lamhe kahani ho gae

shab ke moti subh pani ho gae

rafta rafta zindagani ho gae

gham ke lamhe jawedani ho gae

daulat-e-ahd-e-jawani ho gae

chand lamhe jo kahani ho gae

kaisi kuchh ranginiyan thin jin se hum

mahw-e-sair-e-dahr-e-fani ho gae

sukh bhare dukh dukh bhare sukh sab ke sab

waqiat-e-zindagani ho gae

muskurae aap jaane kis liye

hum rahin-e-shadmani ho gae

baaton hi baaton mein raaten uD gain

hae wo din bhi kahani ho gae

tum ne kuchh dekha KHulus-e-jazb-e-shauq

sang-reze gul ke pani ho gae

'farhat' aisi but-parasti ke nisar

but bhi mahw-e-lan-tarani ho gae

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Ke Lamhe Kahani Ho Gae In English By Famous Poet Farhat Kanpuri. Wasl Ke Lamhe Kahani Ho Gae is written by Farhat Kanpuri. Read famous Poem Wasl Ke Lamhe Kahani Ho Gae for youth and Student by Farhat Kanpuri. Free Download Wasl Ke Lamhe Kahani Ho Gae in PDF.