Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain

jitne log nazar aate hain sab ke sab begane hain

aur wahi hain dur nazar se jo jaane-pahchane hain

zanjiron ka bojh liye hain be-diwar ke zindan mein

phir bhi kuchh aawaz nahin hai kaise ye diwane hain

bach bach kar chalte hain har-dam shishe ki diwaron se

kaun kahe diwana un ko ye to sab farzane hain

KHud hi bujha dete hain shamen raushniyon se ghabra kar

is mahfil mein ai logo kuchh aise bhi parwane hain

sayyaadon ne gul-chinon ne gulshan ko taraj kiya

lekin hum diwanon se aabaad abhi virane hain

un ka gham hai apna gham hai apne parae sab ka gham

shahr-e-wafa mein phir bhi 'farhat' aur kai gham-KHane hain

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain In English By Famous Poet Farhat Qadri. Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain is written by Farhat Qadri. Read famous Poem Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain for youth and Student by Farhat Qadri. Free Download Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain in PDF.