Main Apne-ap Se Barham Tha Wo KHafa Mujhse

main apne-ap se barham tha wo KHafa mujh se

sukun se kaise guzarta ye rasta mujh se

ghazal suna ke kabhi nazm gunguna ke meri

wo kah raha tha mere dil ka majra mujh se

guzar ke waqt ne gunga bana diya tha jinhen

wo lafz mang rahe hain nai sada mujh se

na gul ki koi KHabar hai na baat gulshan ki

KHafa si lagti hai kuchh roz se saba mujh se

wo jis ne KHwab mere pal mein qatl kar Dale

KHiraj mangne aaya hai KHun ka mujh se

niyaz-mand raha main bhi us ka sab ki tarah

ki koi bhanp na le us ka silsila mujh se

aziz mujh ko hain tufan sahilon se siwa

isi liye hai KHafa mera naKHuda mujh se

na jaane kaun si mahfil mein kis ke sath hun main

hai munqat'a mera apna bhi rabta mujh se

bas ek bar nazar bhar ke main ne dekha tha

nazar mila na saka phir wo be-wafa mujh se

(1182) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne-ap Se Barham Tha Wo KHafa Mujhse In English By Famous Poet Farhat Shahzad. Main Apne-ap Se Barham Tha Wo KHafa Mujhse is written by Farhat Shahzad. Read famous Poem Main Apne-ap Se Barham Tha Wo KHafa Mujhse for youth and Student by Farhat Shahzad. Free Download Main Apne-ap Se Barham Tha Wo KHafa Mujhse in PDF.