Apne Hi Sae Mein Tha Mein Shayad Chhupa Hua

apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua

jab KHud hi haT gaya to kahin rasta mila

jalte rahe hain apne hi dozaKH mein raat din

hum se ziyaada koi hamara adu na tha

dekha na phir palaT ke kisi shahsawar ne

main har sada ka naqsh-e-qadam khojta raha

diwar phand kar na yahan aaega koi

rahne do zaKHm-e-dil ka daricha khula hua

nikla agar to hath na aaunga phir kabhi

kab se hun is badan ki kaman mein tana hua

bedar hain shuur ki kirnen kahin kahin

har zehn mein hai wahm ka tarik rasta

ju-e-nashat ban ke baha le gai mujhe

aawaz thi ki saz-e-jawani ka aks tha

itna bhi kaun hoga halak-e-fareb-e-rang

shab us ne mai jo pi hai to mujh ko nasha hua

'farigh' hawae dard ne lauTa diya jise

aaega ek din mera ghar puchhta hua

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hi Sae Mein Tha Mein Shayad Chhupa Hua In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Apne Hi Sae Mein Tha Mein Shayad Chhupa Hua is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Apne Hi Sae Mein Tha Mein Shayad Chhupa Hua for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Apne Hi Sae Mein Tha Mein Shayad Chhupa Hua in PDF.