Hue Hain Sard Dimaghon Ke Dahke Dahke Alaw

hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw

nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke dip jalao

kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liya hai

tasawwuraat ke dhundle charagho rah dikhao

kahan hai gardish-e-dauran kidhar hai sail-e-hawadis

sukun-e-marg-e-musalsal mein Dubne lagi naw

kabhi KHizan ke bagule kabhi bahaar ke jhule

samajh sake na zamane ke ye utar chaDhao

ajib sa hai KHarabaat ke faqihon ka fatwa

bhaDakte shoalon se tapte dilon ki pyas bujhao

hazar gardanen KHam hon bura nahin pe sitam hai

KHayal-o-fikr ki pasti nigah-o-dil ka jhukao

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hue Hain Sard Dimaghon Ke Dahke Dahke Alaw In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Hue Hain Sard Dimaghon Ke Dahke Dahke Alaw is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Hue Hain Sard Dimaghon Ke Dahke Dahke Alaw for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Hue Hain Sard Dimaghon Ke Dahke Dahke Alaw in PDF.