Main Ki Ab Teri Hi Diwar Ka Ek Saya Hun

main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun

kitne be-KHwab darichon se guzar aaya hun

mujh ko ehsas hai haalat ki majburi ka

bewafa kah ke tujhe aap bhi sharmaya hun

mujh ko mat dekh mere zauq-e-samaat ko to dekh

ki tere jism ki har tan pe lahraya hun

ai moarriKH meri ujDi hui surat pe na ja

shahr-e-viran hun magar waqt ka sarmaya hun

raushni phail gai hai meri KHushbu ki tarah

main bhi jalte hue sahraon ka ham-saya hun

ham-safar lakh meri rah ka patthar bhi bane

phir bhi zehnon ke dar-o-baam pe lahraya hun

nai manzil ka junun tohmat-e-gumrahi hai

pa-shikasta bhi teri rah mein kahlaya hun

phir numu pai hai ek dard-e-KHush-aghaz ke sath

dahr mein jurat-e-izhaar ka pairaya hun

umr bhar but-shikani karta raha aaj magar

apni hi zat ke kohsar se Takraya hun

dahr mein azmat-e-adam ka nishan hun 'farigh'

kabhi kohsar kabhi dar pe lahraya hun

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ki Ab Teri Hi Diwar Ka Ek Saya Hun In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Main Ki Ab Teri Hi Diwar Ka Ek Saya Hun is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Main Ki Ab Teri Hi Diwar Ka Ek Saya Hun for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Main Ki Ab Teri Hi Diwar Ka Ek Saya Hun in PDF.