Yaadon Ka Ajib Silsila Hai

yaadon ka ajib silsila hai

soya hua dard jag uTha hai

miT bhi chuke naqsh-e-pa magar dil

mahki hui chap sun raha hai

jalti hui manzilon ka rahi

ab apna hi saya DhunDhta hai

diwaren khaDi hui hain lekin

andar se makan gir raha hai

puchhe hai chaTak ke ghuncha-e-zaKHm

ai ajnabi tera nam kya hai

sochon ke athah paniyon mein

dil barf ka phul ban gaya hai

kis shola-badan ki yaad aai

daman-e-KHayal jal uTha hai

taKHliq mein KHud chhupa hua hai

fankar bhi fitratan KHuda hai

murjha ke har ek zard patta

aaweza-e-gosh ban gaya hai

socha hai ye main ne pi ke aksar

nashshe mein ye raushni si kya hai

shaKHon pe pujaranen saji hain

har phul chaman ka dewta hai

sahra-e-wafa mein mere fan ki

KHushbu ka charagh jal raha hai

phir paenge KHak se numu hum

'farigh' ye usul-e-irtiqa hai

izhaar ka jis ko hausla hai

wo apni sadi ka dewta hai

mansur se kam nahin hai wo bhi

jo apni zaban se bolta hai

wo peD hai zindagi ki azmat

jo tund hawa se laD raha hai

qatil ko duaen do ki 'farigh'

har zaKHm-e-wafa ghazal-sara hai

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ka Ajib Silsila Hai In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Yaadon Ka Ajib Silsila Hai is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Yaadon Ka Ajib Silsila Hai for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Yaadon Ka Ajib Silsila Hai in PDF.