Bite KHwab Ki Aadi Aankhen Kaun Unhen Samjhae

bite KHwab ki aadi aankhen kaun unhen samjhae

har aahaT par dil yun dhaDke jaise tum ho aae

zid mein aa kar chhoD rahi hai un banhon ke sae

jal jaegi mom ki guDiya duniya dhup-sarae

sham hui to ghar ki har ek shai par aa kar jhapTe

aangan ki dahliz pe baiThe virani ke sae

har ek dhaDkan dard ki gahri Tis mein Dhal jati hai

raat gae jab yaad ka panchhi apne par phailae

andar aisa habs tha main ne khol diya darwaza

jis ne dil se jaana hai wo KHamoshi se jae

kis kis phul ki shadabi ko masKH karoge bolo!!!

ye to us ki den hai jis ko chahe wo mahkae

(1268) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bite KHwab Ki Aadi Aankhen Kaun Unhen Samjhae In English By Famous Poet Fariha Naqvi. Bite KHwab Ki Aadi Aankhen Kaun Unhen Samjhae is written by Fariha Naqvi. Read famous Poem Bite KHwab Ki Aadi Aankhen Kaun Unhen Samjhae for youth and Student by Fariha Naqvi. Free Download Bite KHwab Ki Aadi Aankhen Kaun Unhen Samjhae in PDF.