Ise Bhi ChhoDun Use Bhi ChhoDun Tumhein Sabhi Se Hi Masala Hai?

ise bhi chhoDun use bhi chhoDun tumhein sabhi se hi masala hai?

meri samajh se to baala-tar hai ye pyar hai ya muahida hai

jo tu nahin thi to aur bhi the jo tu na hogi to aur honge

kisi ke dil ko jala ke kahte ho meri jaan ye muhawara hai

hum aaj qaus-e-quzah ke manind ek duje pe khil rahe hain

mujhe to pahle se lag raha tha ye aasmanon ka silsila hai

wo apne apne tamam sathi, tamam mahbub le ke aaen

to mere hathon mein hath de de hamein bhi izn-e-mubahla hai

are o jao!! yun sar na khao!! hamara us se muqabla kya?

na wo zahin-o-fatin yaro na wo hasin hai na shaera hai

(1632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ise Bhi ChhoDun Use Bhi ChhoDun Tumhein Sabhi Se Hi Masala Hai? In English By Famous Poet Fariha Naqvi. Ise Bhi ChhoDun Use Bhi ChhoDun Tumhein Sabhi Se Hi Masala Hai? is written by Fariha Naqvi. Read famous Poem Ise Bhi ChhoDun Use Bhi ChhoDun Tumhein Sabhi Se Hi Masala Hai? for youth and Student by Fariha Naqvi. Free Download Ise Bhi ChhoDun Use Bhi ChhoDun Tumhein Sabhi Se Hi Masala Hai? in PDF.