Hamare Kamre Mein Pattiyon Ki Mahak Ne

cigarette ke raqs karte dhuen se mil kar,

ajib mahaul kar diya hai

aur is pe ab ye ghaDi ki Tik-Tik ne,

dil udasi se bhar diya hai

kisi zamane mein hum ne,

'nasir', 'faraaz', 'mohsin', 'jamal', 'sarwat' ke sher apni chahakti diwar par likhe the

ab is mein silan kyun aa gai hai?

hamara bistar ki jis mein koi shikan nahin hai, usi pe kab se,

(wo daen jaanib, main baen jaanib)

na jaane kab se daraaz hain ham!!!

main us se shayad KHafa nahin hun,

use bhi koi gila nahin hai

magar hamari KHamida pushten jo pichhli kitni hi saaton se

bas ek duje ko tak rahi hain

wo thak gai hai

(1316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Kamre Mein Pattiyon Ki Mahak Ne In English By Famous Poet Fariha Naqvi. Hamare Kamre Mein Pattiyon Ki Mahak Ne is written by Fariha Naqvi. Read famous Poem Hamare Kamre Mein Pattiyon Ki Mahak Ne for youth and Student by Fariha Naqvi. Free Download Hamare Kamre Mein Pattiyon Ki Mahak Ne in PDF.