Janm Janm Ki Kahani

kuchh din pahle tak main kabutar thi

aankhen band kar ke sochti

ki duniya se billiyon ka wajud miT chuka hai

aur us se bhi pahle

main chakor aur titar ke darmiyan koi shai thi

subhan teri qudrat ki boli bolti thi

aur chandni-raat mein be-qarar rahti thi

jab main us se bhi pahle

kutiya thi to sara sara din

apne malik ke panw chaTti rahti thi

magar mere pyar ka ye sila mila

ki wo ek aur kutiya le aaya

is se pahle ke janm mein

main ek KHub-surat hirni thi

wo zamana sab se achchha tha

magar bahut jaldi guzar gaya

aur mujhe kutiya ban jaana paDa

hirni se pahle ka arsa

main ne KHargosh ban kar guzara tha

mujh se sab pyar kiya karte the

main bhi sab ko chahti thi

tab main narm narm hoti thi

aaj-kal main ek bakri hun

sochti hun

bahut ji liya hai

mera malik ek saKHt-dil aadmi hai

an-qarib wo kisi qasai ke hath

mujhe bech dega

aur log mera gosht

khate hue sochenge

dekhne mein to achchha tha

jaane kyun gala nahin

(624) Peoples Rate This

Farkhanda Nasreen Hayat's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Janm Janm Ki Kahani In English By Famous Poet Farkhanda Nasreen Hayat. Janm Janm Ki Kahani is written by Farkhanda Nasreen Hayat. Read famous Poem Janm Janm Ki Kahani for youth and Student by Farkhanda Nasreen Hayat. Free Download Janm Janm Ki Kahani in PDF.