Yaron Ko Kya DhunD Rahe Ho Waqt Ki Aankh-micholi Mein

yaron ko kya DhunD rahe ho waqt ki aankh-micholi mein

shahar mein wo to baTe hue hain apni apni Toli mein

shahon jaisa kuchh bhi nahin hai gumbad taq na mehraben

taj-mahal ka aks na DhunDo meri shikasta kholi mein

Dhalte Dhalte suraj ne bhi hum par ye ehsan kiya

chand sitare Dal diye hain raat ki KHali jholi mein

'mira-ji' ke dohe gao ya ki 'mir' ke sher paDho

dard ke qisse sab ne likhe hain apni apni boli mein

atlas aur kamKHwab ki raunaq is mein kahan se paoge

meri ghazal to baiThi hui hai aaj ghamon ki Doli mein

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaron Ko Kya DhunD Rahe Ho Waqt Ki Aankh-micholi Mein In English By Famous Poet Farooq Anjum. Yaron Ko Kya DhunD Rahe Ho Waqt Ki Aankh-micholi Mein is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Yaron Ko Kya DhunD Rahe Ho Waqt Ki Aankh-micholi Mein for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Yaron Ko Kya DhunD Rahe Ho Waqt Ki Aankh-micholi Mein in PDF.