Baat Mein Kuchh Magar Bayan Mein Kuchh

baat mein kuchh magar bayan mein kuchh

rang badla har ek aan mein kuchh

yun hi qaem nahin hai ye duniya

log achchhe hain is jahan mein kuchh

marsiya ho gaya charaghon ka

jab bhi likkha hawa ki shan mein kuchh

qatl hone hain sab ke sab kirdar

moD aise hain dastan mein kuchh

us ko dekha mili palak se palak

jaan si aa gai hai jaan mein kuchh

sirf lutf-e-safar ki baat nahin

ab maza bhi kahan thakan mein kuchh

sab samajhta hai apne matlab ki

koi bole kisi zaban mein kuchh

kya bharosa hai us ka ai 'faruq'

aan mein kuchh hai aur aan mein kuchh

(2519) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Mein Kuchh Magar Bayan Mein Kuchh In English By Famous Poet Farooq Engineer. Baat Mein Kuchh Magar Bayan Mein Kuchh is written by Farooq Engineer. Read famous Poem Baat Mein Kuchh Magar Bayan Mein Kuchh for youth and Student by Farooq Engineer. Free Download Baat Mein Kuchh Magar Bayan Mein Kuchh in PDF.