Pure Qad Se Main KhaDa Hun Samne Aaega Kya

pure qad se main khaDa hun samne aaega kya

main tera saya nahin hun mujh ko samjhaega kya

aandhiyon par uD raha hai jin parindon ka hujum

aasman ki wusaton se lauT kar aaega kya

ek nae manzar ka KHaka aasman par kyun nahin

chand apni chandni par yunhi itraega kya

fasl-e-gul ke baad patjhaD yun to ek mamul hai

KHauf ban kar phir dar-o-diwar par chhaega kya

jaanib-e-shahr-e-ghazalan phir chali sham-e-firaq

dasht ki be-KHwabiyon ka raazdan aaega kya

KHun ki roti safedi be-sada sazon ka shor

be-sar-o-pa git koi be-zaban gaega kya

hai ghazal aazad goya be-dar-o-diwar ghar

hum ko bhi is sinf-e-be-ja ka hunar aaega kya

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pure Qad Se Main KhaDa Hun Samne Aaega Kya In English By Famous Poet Farooq Nazki. Pure Qad Se Main KhaDa Hun Samne Aaega Kya is written by Farooq Nazki. Read famous Poem Pure Qad Se Main KhaDa Hun Samne Aaega Kya for youth and Student by Farooq Nazki. Free Download Pure Qad Se Main KhaDa Hun Samne Aaega Kya in PDF.