Main To Lamhat Ki Sazish Ka Nishana Thahra

main to lamhat ki sazish ka nishana Thahra

tu jo Thahra to tere sath zamana Thahra

aane wale kisi mausam se hamein kya lena

dil hi jab dard ki KHushbu ka KHazana Thahra

yaad hai rakh-tale ek sharare ki tarah

ye jo bujh jae hawaon ka bahana Thahra

jhuT sach mein koi pahchan kare bhi kaise

jo haqiqat ka hi meyar fasana Thahra

aks bikhre hue chehron ke hain har samt 'shamim'

dil hamara bhi koi aaina-KHana Thahra

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Lamhat Ki Sazish Ka Nishana Thahra In English By Famous Poet Farooq Shamim. Main To Lamhat Ki Sazish Ka Nishana Thahra is written by Farooq Shamim. Read famous Poem Main To Lamhat Ki Sazish Ka Nishana Thahra for youth and Student by Farooq Shamim. Free Download Main To Lamhat Ki Sazish Ka Nishana Thahra in PDF.