Rah-e-gum-karda Sar-e-manzil BhaTak Kar Aa Gaya

rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhaTak kar aa gaya

subh ka bhula tha lekin sham ko ghar aa gaya

jaise us ko rok sakna apne bas mein hi nahin

jab bhi chaha be-ijazat ghar ke andar aa gaya

bhag kar jaen kahan ab tu hi kuchh tadbir kar

samne apne samundar sar pe lashkar aa gaya

us ne koshish to bahut ki sar bachane ki magar

jis taraf se tha nahin andesha patthar aa gaya

hum na kahte the ki 'farruKH' aadmi achchha nahin

dekh tujh ko bhi yaqin ab is se mil kar aa gaya

(1661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-gum-karda Sar-e-manzil BhaTak Kar Aa Gaya In English By Famous Poet Farrukh Jafari. Rah-e-gum-karda Sar-e-manzil BhaTak Kar Aa Gaya is written by Farrukh Jafari. Read famous Poem Rah-e-gum-karda Sar-e-manzil BhaTak Kar Aa Gaya for youth and Student by Farrukh Jafari. Free Download Rah-e-gum-karda Sar-e-manzil BhaTak Kar Aa Gaya in PDF.