Chashm-e-hairat Ko Talluq Ki Faza Tak Le Gaya

chashm-e-hairat ko talluq ki faza tak le gaya

koi KHwabon se mujhe dasht-e-bala tak le gaya

TuTti parchhaiyon ke shahr mein tanha hun ab

hadson ka silsila gham-ashna tak le gaya

dhup diwaron pe chaDh kar dekhti hi rah gai

kaun suraj ko andheron ki gupha tak le gaya

umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen

waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya

is qadar gahri udasi ka sabab khulta nahin

jaise honTon se koi harf-e-dua tak le gaya

jaane kis ummid par ek aarzu ka silsila

mujh se paiham dur hoti ek sada tak le gaya

KHak mein milte hue barg-e-KHizan se puchhiye

kaun shaKHon se use unchi hawa tak le gaya

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-hairat Ko Talluq Ki Faza Tak Le Gaya In English By Famous Poet Fasih Akmal. Chashm-e-hairat Ko Talluq Ki Faza Tak Le Gaya is written by Fasih Akmal. Read famous Poem Chashm-e-hairat Ko Talluq Ki Faza Tak Le Gaya for youth and Student by Fasih Akmal. Free Download Chashm-e-hairat Ko Talluq Ki Faza Tak Le Gaya in PDF.