Aankhon Mein Na Zulfon Mein Na RuKHsar Mein Dekhen

aankhon mein na zulfon mein na ruKHsar mein dekhen

mujh ko meri danish mere afkar mein dekhen

malbus badan dekhen hain rangin qaba mein

ab pairahan-e-zat ko izhaar mein dekhen

sau rang mazamin hain jab likhne pe aaun

gul-dasta-e-mani mere ashaar mein dekhen

puri na adhuri hun na kam-tar hun na bartar

insan hun insan ke mear mein dekhen

rakkhe hain qadam main ne bhi taron ki zamin par

pichhe hun kahan aap se raftar mein dekhen

mansub hain insan se jitne bhi fazael

apne hi nahin mere bhi atwar mein dekhen

kab chaha ki saman-e-tijarat hamein samjhen

lae the hamein aap hi bazar mein dekhen

us qadir-e-mutlaq ne banaya hai hamein bhi

tamir ki KHubi usi meamar mein dekhen

(1006) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Na Zulfon Mein Na RuKHsar Mein Dekhen In English By Famous Poet Fatima Hasan. Aankhon Mein Na Zulfon Mein Na RuKHsar Mein Dekhen is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Aankhon Mein Na Zulfon Mein Na RuKHsar Mein Dekhen for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Aankhon Mein Na Zulfon Mein Na RuKHsar Mein Dekhen in PDF.