Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein

jin KHwahishon ko dekhti rahti thi KHwab mein

ab likh rahi hun un ko haqiqat ke bab mein

ek jhil ke kinare parindon ke darmiyan

suraj ko hote dekha tha tahlil aab mein

KHwabon pe iKHtiyar na yaadon pe zor hai

kab zindagi guzari hai apne hisab mein

ek hath us ka jal pe patwar ek mein

aur Dubta wajud mera sail-e-ab mein

purwai chal ke aur bhi wahshat baDha gai

halki si aa gai thi kami iztirab mein

aazad hain to bagh ka mausam hi aur hai

KHushbu hai tez rang bhi gahra gulab mein

apni zamin ki aab-o-hawa ras hai mujhe

mere liye kashish nahin koi sarab mein

dekho junun mein un ke khilaune na toDna

tum ko raqam karenge ye bachche kitab mein

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein In English By Famous Poet Fatima Hasan. Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein in PDF.