Meri Zamin Pe Lagi Aap Ke Nagar Mein Lagi

meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi

lagi hai aag jahan bhi kisi ke ghar mein lagi

ajib raqs ki wahshat ki tal hai jis mein

ajib tal jo aaseb ke asar mein lagi

kiwaD band kahan muntazir the aahaT ke

lagi jo der to dahliz tak safar mein lagi

tamam KHwab the wabasta us ke hone se

so meri aankh bhi bas saya-e-shajar mein lagi

hisar-e-zat nahin tha tilism-e-ishq tha wo

KHabar hui to magar der is KHabar mein lagi

dahakte rang the jo aasman chhute the

khile the phul ki ek aag si shajar mein lagi

adhure lafz the aawaz ghair-wazeh thi

dua ko phir bhi nahin der kuchh asar mein lagi

palaT ke dekha to bas hijraten thin daman mein

agarche umr yahan ek guzar-basar mein lagi

parind lauT kar aae the kin zaminon se

kahan ki dhul thi jo un ke baal-o-par mein lagi

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Zamin Pe Lagi Aap Ke Nagar Mein Lagi In English By Famous Poet Fatima Hasan. Meri Zamin Pe Lagi Aap Ke Nagar Mein Lagi is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Meri Zamin Pe Lagi Aap Ke Nagar Mein Lagi for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Meri Zamin Pe Lagi Aap Ke Nagar Mein Lagi in PDF.