Ruka Jawab Ki KHatir Na Kuchh Sawal Kiya

ruka jawab ki KHatir na kuchh sawal kiya

magar ye zoam ki har rabta bahaal kiya

thakan nahin hai kaThin raston pe chalne ki

bichhaDne walon ke dukh ne bahut niDhaal kiya

jo TuTna tha faqat dard hi ka rishta tha

to dil ne kyun bhala is baat par malal kiya

bacha ke rakhna tha ek aks apni aankhon mein

baDe jatan se unhen aaina-misal kiya

lahu mein tair gai wo ghaDi judai ki

ki jis ke zahr ne jina mera muhaal kiya

bichhaD raha tha magar muD ke dekhta bhi raha

main muskuraati rahi main ne bhi kamal kiya

KHabar thi us ko ki dasht-e-hunar se aai hun

so us ke lafzon ne zaKHmon ka indimal kiya

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruka Jawab Ki KHatir Na Kuchh Sawal Kiya In English By Famous Poet Fatima Hasan. Ruka Jawab Ki KHatir Na Kuchh Sawal Kiya is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Ruka Jawab Ki KHatir Na Kuchh Sawal Kiya for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Ruka Jawab Ki KHatir Na Kuchh Sawal Kiya in PDF.