ZaKHmi Ungliyon Se Ek Nazm

wo laDki kisi aur basti ki

rahne wali thi jo patthar pe

phul ugane ki KHwahish mein

ungliyan zaKHmi kar baiThi

suna hai us ki basti mein

phul aur mohabbat jiwan ka lazmi hissa the

wahan lafzon mein phul khilte the

aur aankhon se mohabbat ki kirnen

phuTti thin

jo koi us basti mein aata

chand achchhe lafzon ke badle

Dheron mohabbat le jata

ek din us basti mein ek jadu-gar aaya

aur us ne aisa mantar phunka ki sari basti patthar ho gai

laDki jo kahin bahar gai thi wapas aai to

us ki duniya badal chuki thi

us din se wo laDki

jahan kahin bhi patthar dekhti hai

unhen phul banane ki koshish mein

zaKHmi ho jati hai

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHmi Ungliyon Se Ek Nazm In English By Famous Poet Fatima Hasan. ZaKHmi Ungliyon Se Ek Nazm is written by Fatima Hasan. Read famous Poem ZaKHmi Ungliyon Se Ek Nazm for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download ZaKHmi Ungliyon Se Ek Nazm in PDF.