Ek Musht-e-par Hun Mujhko Yaqinan Sukun Nahin

ek musht-e-par hun mujh ko yaqinan sukun nahin

lekin hawa uDa ke jo le jae yun nahin

aksar zamane walon ne socha hai is tarah

maujud hun magar ye KHabar ho ki hun nahin

KHuddari-e-mizaj kuchh itni aziz hai

mil jae sab jahan to main us ko dun nahin

waiz ne yun bana liya KHud nazm-e-zindagi

hote rahen gunah pa us ko ginun nahin

nazzara chahiye to bayaban mein aaiye

sab kuchh wahan pe sach hai zara sa fusun nahin

duniya ye chahti hai 'wasiya' har ek se

apni to sab kahun pe kisi ki sunun nahin

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Musht-e-par Hun Mujhko Yaqinan Sukun Nahin In English By Famous Poet Fatima Wasia Jayasi. Ek Musht-e-par Hun Mujhko Yaqinan Sukun Nahin is written by Fatima Wasia Jayasi. Read famous Poem Ek Musht-e-par Hun Mujhko Yaqinan Sukun Nahin for youth and Student by Fatima Wasia Jayasi. Free Download Ek Musht-e-par Hun Mujhko Yaqinan Sukun Nahin in PDF.