Kyun Masafat Mein Na Aae Yaad Apna Ghar Mujhe
kyun masafat mein na aae yaad apna ghar mujhe
Thokaren dene lage hain rah ke patthar mujhe
kis ka ye ehsas jaga dopahar ki dhup mein
DhunDne nikla hai nange panw nange-sar mujhe
jis mein aasuda raha main wo tha kaghaz ka makan
ek hi jhonka hawa ka kar gaya be-ghar mujhe
main to in aalaishon se dur ek aaina tha
aa laga hai meri apni soch ka patthar mujhe
aa gaya tha main sitam ki bastiyon ko raund kar
kya KHabar thi KHud nigal jaega apna ghar mujhe
ab ana ki chaar diwari ko girna chahiye
qaid kar rakkha hai apni zat ke andar mujhe
'fauq' sailab-e-gham-e-dauran baha kar le gaya
dekhta hi rah gaya ek husn ka paikar mujhe
(10194) Peoples Rate This