KHarch Jab Ho Gai Jazbon Ki Raqam Aap Hi Aap

KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap

khul gaya hum pe hasinon ka bharam aap hi aap

ab ke ruThe to manane nahin aaya koi

baat baDh jae to ho jati hai kam aap hi aap

roz baDhta tha koi dast-e-talab apni taraf

sar se hota hoga ek bojh bhi kam aap hi aap

un ke wadon pe koi din to guzara kije

aap ban jaenge taswir-e-alam aap hi aap

jaise bujhta hai koi phul sharara ban kar

husn ki aanch bhi ho jaegi kam aap hi aap

aabginon ki tarah TuT gaya TuT gaya

KHwab-e-yusuf mein zuleKHa ka bharam aap hi aap

shaKH-e-tanhai se phal toDenge chupke chupke

ishq ke ye bhi maze luTenge hum aap hi aap

der tak chhai rahi ek udasi dil par

jaane kya soch ke phir hans diye hum aap hi aap

main kahan aaya hun lae hain teri mahfil mein

meri wahshat mere majbur qadam aap hi aap

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHarch Jab Ho Gai Jazbon Ki Raqam Aap Hi Aap In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. KHarch Jab Ho Gai Jazbon Ki Raqam Aap Hi Aap is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem KHarch Jab Ho Gai Jazbon Ki Raqam Aap Hi Aap for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download KHarch Jab Ho Gai Jazbon Ki Raqam Aap Hi Aap in PDF.