Achaar Ka Martaban

tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke

makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha

tumhaari ammi ne bar-ha tum se ye kaha tha

achaar kachcha hai' tel ki bu miTi nahin hai

abhi na ye martaban kholo

hawa agar bartanon mein daKHil hui to ulli

tamam phankon ka nas kar degi

tum magar soch mein paDi ho

na jaane ammi ko kya hua hai

achaar ki phank hi to hai na

na koi hira, na koi moti, na koi sone ki chiz mangi

na koi kapDa na koi latta na koi saDi

tum apni masum aur pyari si ankhDiyon mein

hazar shikwe liye yunhi sochti rahogi

magar jo ek Dar tumhaari ammi ki aankh mein aa ke bas gaya hai

use kahan tum samajh sakogi

abhi to tum bachpane ki sarhad phalangne hi ki fikr mein ho

abhi to tum meinDhiyan banati ho, choTiyan kas ke bandhti ho

kabhi kabhi tum saDak pe ja kar jhagaDte bachchon ko DanTti ho

to tum ko chunni ka hosh hota hai

aur na aankhon mein Dar kisi ka

agar kabhi tum zaban ka zaiqa badalne ka soch hi lo

agar kabhi tum achaar ka martaban niche utar hi lo

nazar bacha kar achaar bahar nikal hi lo

to lamha bhar ke liye Thahar kar ye soch lena

tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke

makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achaar Ka Martaban In English By Famous Poet Fayyaz Tahseen. Achaar Ka Martaban is written by Fayyaz Tahseen. Read famous Poem Achaar Ka Martaban for youth and Student by Fayyaz Tahseen. Free Download Achaar Ka Martaban in PDF.