Aah Ko Baad-e-saba Dard Ko KHushbu Likhna

aah ko baad-e-saba dard ko KHushbu likhna

hai baja zaKHm-e-badan ko gul-e-KHud-ru likhna

dard bhigi hui raaton mein chamak uTTha hai

hum ko likhna hai to barsat ka jugnu likhna

KHwab Takra ke haqaeq se hue sad-para

ab inhen aankh se Dhalke hue aansu likhna

tu ne sulatani-e-jamhur badal din qadren

aaj farhad ko mushkil nahin KHusraw likhna

ab munasib nahin ham-asr ghazal ko yaro

kisi bajti hui pazeb ka ghunghru likhna

hunar-afshani-e-KHama ko dua do ki 'faza'

lafz ko sahl hua nafa-e-ahu likhna

(1363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah Ko Baad-e-saba Dard Ko KHushbu Likhna In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Aah Ko Baad-e-saba Dard Ko KHushbu Likhna is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Aah Ko Baad-e-saba Dard Ko KHushbu Likhna for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Aah Ko Baad-e-saba Dard Ko KHushbu Likhna in PDF.