Chhanw Ko Takte Dhup Mein Chalte Ek Zamana Bit Gaya

chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya

hasraton ki aaghosh mein palte ek zamana bit gaya

aaj bhi hain wo sulge sulge tere lab o aariz ki tarah

jin zaKHmon par pankha jhalte ek zamana bit gaya

main ab apna jism nahin hun sirf tumhaara saya hun

mausam ki ye barf pighalte ek zamana bit gaya

ab tak apne hath na aaya surmai chhanw ka daman bhi

chandi jaisi dhup mein jalte ek zamana bit gaya

waqt madari hai kya jaane khel apna kab KHatm kare

sanson ki is Dor pe chalte ek zamana bit gaya

zindagi aur lamhon ka taaqub jin ka koi or na chhor

sadiyon sadiyon moD badalte ek zamana bit gaya

ab bhi teri mehrab-e-suKHan mein shamen si raushan hain 'faza'

suraj ko ye aag ugalte ek zamana bit gaya

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhanw Ko Takte Dhup Mein Chalte Ek Zamana Bit Gaya In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Chhanw Ko Takte Dhup Mein Chalte Ek Zamana Bit Gaya is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Chhanw Ko Takte Dhup Mein Chalte Ek Zamana Bit Gaya for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Chhanw Ko Takte Dhup Mein Chalte Ek Zamana Bit Gaya in PDF.