Khula Na Mujhse Tabiat Ka Tha Bahut Gahra

khula na mujh se tabiat ka tha bahut gahra

hazar us se raha rabta bahut gahra

bas is qadar ki ye hijrat ki umr kaT jae

na mujh gharib se rakh silsila bahut gahra

sab apne aaine us ne mujhi ko saunp diye

use shikast ka ehsas tha bahut gahra

mujhe tilism samajhta tha wo sarabon ka

baDha jo aage samundar mila bahut gahra

shadid pyas ke aalam mein Dubne se bacha

qadah to kya mujhe qatra laga bahut gahra

tu us ki zad mein jo aaya to Dub jaega

ba-qadr-e-ab hai har aaina bahut gahra

milenge rah mein tujh ko charagh jalte hue

kahin kahin hai mera naqsh-e-pa bahut gahra

talash-e-mani-e-maqsud itni sahl na thi

main lafz lafz utarta gaya bahut gahra

jo baat jaan-e-suKHan thi wahi rahi ojhal

liya to us ne mera jaeza bahut gahra

qadim hote hue mujh se bhi jadid hai wo

asar hai us pe mere daur ka bahut gahra

'faza' hamein to hai kafi yahi KHumar-e-wajud

hai be-sharab bhi hasil nasha bahut gahra

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khula Na Mujhse Tabiat Ka Tha Bahut Gahra In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Khula Na Mujhse Tabiat Ka Tha Bahut Gahra is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Khula Na Mujhse Tabiat Ka Tha Bahut Gahra for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Khula Na Mujhse Tabiat Ka Tha Bahut Gahra in PDF.