Udas Dekh Ke Wajh-e-malal Puchhega

udas dekh ke wajh-e-malal puchhega

wo mehrban nahin aisa ki haal puchhega

jawab de na sakoge palaT ke mazi ko

ek ek lamha wo chubhte sawal puchhega

dilon ke zaKHm dahan mein zaban nahin rakhte

to kis se zaiqa-e-indimal puchhega

kabhi to la ke mila mujh se mere qatil ko

jo sar hai dosh pe tere wabaal puchhega

ye kya KHabar thi ki sine ke dagh lau denge

koi jo mehnat-e-fan ka maal puchhega

tu harf-e-ishq-o-basirat hai lab na si apne

zamana tujh se bhi tera KHayal puchhega

mujhe tarash ke rakh lo ki aane wala waqt

KHazaf dikha ke guhar ki misal puchhega

bana ke phul ki KHushbu phiraegi sadiyon

hawa se kaun rah-e-e'tidal puchhega

ye ek pal jo hai majhul shaKHs ki surat

mizaj-e-agahi-e-mah-o-sal puchhega

yahan tayyun-e-aqdar bhi zaruri hai

KHud apne mushk ki qimat ghazal puchhega

mera qalam abdiyat ki raushni hai 'faza'

is aaftab ko ab kya zawal puchhega

(1233) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udas Dekh Ke Wajh-e-malal Puchhega In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Udas Dekh Ke Wajh-e-malal Puchhega is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Udas Dekh Ke Wajh-e-malal Puchhega for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Udas Dekh Ke Wajh-e-malal Puchhega in PDF.