Zamin ChiKH Rahi Hai Ki Aasman Gira

zamin chiKH rahi hai ki aasman gira

ye kaisa bojh hamare badan pe aan gira

bahut sambhaal ke rakh be-sabaat lamhon ko

zara jo sanki hawa ret ka makan gira

is aaine hi mein logon ne KHud ko pahchana

bhala hua ki main chehron ke darmiyan gira

rafiq-e-samt-e-safar hogi jo hawa hogi

ye soch kar na safine ka baadban gira

main apne ahd ki ye tazgi kahan le jaun

ek ek lafz qalam se lahuluhan gira

qarib o dur koi shola-e-nawa bhi nahin

ye kin andheron mein hathon se shama-dan gira

'faza' ko toD to phenka hawaon ne lekin

ye phul apni hi shaKHon ke darmiyan gira

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin ChiKH Rahi Hai Ki Aasman Gira In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Zamin ChiKH Rahi Hai Ki Aasman Gira is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Zamin ChiKH Rahi Hai Ki Aasman Gira for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Zamin ChiKH Rahi Hai Ki Aasman Gira in PDF.