Guzarti Hai Jo Dil Par Wo Kahani Yaad Rakhta Hun

guzarti hai jo dil par wo kahani yaad rakhta hun

main har gul-rang chehre ko zabani yaad rakhta hun

main aksar kho sa jata hun gali-kuchon ke jangal mein

magar phir bhi tere ghar ki nishani yaad rakhta hun

mujhe achchhe bure se koi nisbat hai to itni hai

ki har na-mehrban ki mehrbani yaad rakhta hun

kabhi jo zindagi ki be-sabaati yaad aati hai

to sab kuchh bhul jata hun jawani yaad rakhta hun

mujhe malum hai kaise badal jati hain tariKHen

isi KHatir to main baaten purani yaad rakhta hun

(1639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzarti Hai Jo Dil Par Wo Kahani Yaad Rakhta Hun In English By Famous Poet Fazil Jamili. Guzarti Hai Jo Dil Par Wo Kahani Yaad Rakhta Hun is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Guzarti Hai Jo Dil Par Wo Kahani Yaad Rakhta Hun for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Guzarti Hai Jo Dil Par Wo Kahani Yaad Rakhta Hun in PDF.